>

Saturday, April 7, 2012

Rab Ka Shukrana - Jannat 2

Jannat 2
Tu hai ab jo baahon mein, qarar hai
Rab ka shukrana
Saanson mein hai nasha, khumar hai
Rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai
Rab ka shukrana
Mera kalma hai tu, azaan hai
Rab ka shukrana
(rab ka, shukrana)

Tu mila toh sab mila
Ab kisi se kya gila
Tujhme simtu, aa main bikhru
Teri baahon mein
Tu mila toh sab mila
Ab kisi se kya gila
Tujhme simtu, aa main bikhru
Teri baahon mein, fanaa ho jaaun main
Tu hi ab duniya meri, jahaan hai
Rab ka shukrana
Khwabon ki khayalon ki udaan hai
Rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai
Rab ka shukrana
Mera kalma hai tu, azaan hai
Rab ka shukrana

Sab se ho jaaun pare, jo ishaara tu kare
Ab toh rehna hai tujhi mein
Gumshuda hoon main
Sab se ho jaaun pare, jo ishaara tu kare
Ab toh rehna hai tujhi mein
Gumshuda hoon main
Ho teri baahon mein
Jazbon ka toh naya bayaan hai
Rab ka shukrana
Naya rutba nayi shaan hai
Rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai, imaan hai
Rab ka shukrana

Mera kalma hai tu, azaan hai tu
Rab ka shukrana

(rab ka... shukrana)


Song Details:-
Song Name: Rab Ka Shukrana
Film/Album: Jannat 2
Singer(s): Mohit Chauhan
Music Director: Pritam
Lyricist: Sayeed Quadri
Length: 4:59
Music Label: Sony Music

No comments:

Post a Comment

Blogger Widgets