>

Saturday, April 7, 2012

Tera Deedar Hua - Jannat 2

Jannat 2
Yun tera muskurana, aur aake chale jaana
Yun tera muskurana aur aake chale jaana
Kismat ka hai khul jaana
Tera, deedar hua
Pehla, sa pyaar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh, inkaar hua
Naa hi, iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko
Yun tera muskurana aur aake chale jaana
Kismat ka hai khul jaana
Tera, deedar hua
Pehla, sa pyaar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh, inkaar hua
Naa hi, iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko

Re ga ra re pa ma ga...

Tujhse mila toh jaagi duaayein
Aur nazar ne sajda kiya
Jannat zameen pe aayi utar ke
Khushiyon ne jaise chun sa liya
O tujhse mila toh jaagi duaayein
Aur nazar ne sajda kiya
Jannat zameen pe aayi utar ke
Khushiyon ne jaise chun sa liya
Har manzar dilnasheen hai (aha)
Tu hi tu har kahin hai (aha)
Oh teri yeh rajaayein toh hai saari qatilana
Tera, deedar hua
Pehla, sa pyaar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh, inkaar hua
Naa hi, iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko

Tere bina main tanha tha har pal
Honthon pe har dum thi tishnagi
Maqsad nahi tha, sapne nahi thay
Thi zindagi mein aawargi
Tu mera rehnuma hai (aha)
Manzil hai raasta hai (aha)
O mere liye tu toh jaise rab ka hai nazrana
Tera, deedar hua
Pehla, sa pyaar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh, inkaar hua
Naa hi, iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko

Yun tera muskurana, aur aake chale jaana
Yun tera muskurana aur aake chale jaana
Kismat ka hai khul jaana
Tera, deedar hua
Pehla, sa pyaar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh, inkaar hua
Naa hi, iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko

Song Details:-
Song Name: Tera Deedar Hua
Film/Album: Jannat 2
Singer(s): Rahat Fateh Ali Khan
Music Director: Pritam
Lyricist: Sayeed Quadri
Length: 5:47
Music Label: Sony Music

No comments:

Post a Comment

Blogger Widgets